Jindagi Kya Hai ?

Through this poem, i tried to project the meaning of 'LIFE' with different perspectives,objects.Hope you'll like it..

jindagi kya hai,rishton ka janjal
jisse jitna dur bhagna chahta hun,utna hi apne pas pata hun
jitna bhi samajhne ki koshish karta hun,utna hi ulajh jata hun

jindagi kya hai,waqt ki gulam
jab chahta hun usse dur bhag jana,wo har saans me mere sath rahti hai
jab chahta hun kuch or jeena,wo har roj meri umar kam kar deti hai

jindagi kya hai,rangmanch ka tamasha
jisme hansna hai to rona bhi hai,ruthna hai to manana bhi hai
jisme pyar-dosti ka vada hai to dushmani nibhana bhi hai

jindagi kya hai,samudra ki lahar ya phir ret
wo jitna shor or ufaan lekar ati hai utni hi shaant laut jati hai
us ko jitna pakadne ki koshish karo,utni hi chutti chali jati hai

jindagi kya hai,mad ka pyala
jitna peena chahta hun,utna hi chalak jata hai
ek jaam to humesha kam pad jata hai

jindagi kya hai,ye aaj bhi raj hai
pata nahi kab koi iske asli maksad ko samajh payega
ise samajhne ke liye to agla janam bhi kam pad jayega

-(Ashish Lahoti)
May 1st,2011

Comments

Popular posts from this blog

Lyrics of Nain Parindey Song

PaPa

Chennai Humour