Jisne kar di apni puri jindagi mohabbat ke naam ,
aaj wo bhi dil ke kisi kone me khud ko akela pate hain
Aansuo ko phir bhi kisi tarah rok lete hain ,
par dil rota hai or kahata hai wo aaj bhi bahut yaad ate hain
नारी क्या है ये ...अबला या बला ? अबला है तो प्यार ही पूजा है , बला है तो आज ये तो कल कोई दूजा है अबला है तो पति के चरणों में परमेश्वर है , बला है तो परमेश्वर के चरणों में पति है अबला है तो दिन में सावन रात में पतझड़ है , बला है तो दिन में पतझड़ रात में सावन है अबला है तो सत्कार सेवा सम्मान है , बला है तो मुसीबतों की दुकान है अबला हो या बला हो वक़्त ने यही बताया है ,इसके अंतर्मन को कोई नर समझ न पाया है !
Papa,kya likhun main aapke bare me jin hathon ne in pairon ko chalna sikhaya jinki chanv me khud ko badhta hua paya jinhe dekh dekh jindagi ka mayna samajh me aya khud ki khushiyon ko tak pe rakh humare liye wo jeete marte hain shayad humari ek khushi ki jhalak se hi wo apne sab dukh bhul jate hain wo is bhag daud ki naukari me hume waqt nahi de pate hain shayad wo bhi kanhi kuch palon ko churakar humare sath jindagi jeena chahte hain phir kyon maa ke pyar ke age unka pyar pheeka pad jata hai shayad unka pyar jatane ka tarika hai alag jo hume kabhi samajh nahi ata hain -Ashish Lahoti June 19th 2011 ( Father's Day )
unhe dekha pahli bar to dekhta hi raha gaya unke sath jindagi nibhane ke sapne sanjota gaya unhe to khabar bhi na thi mere ishq-e-ikarar ki main apni hi dhun me badhta chala gaya waqt gujarata gaya rang pyar ka gaharata gaya is intzar me na jane kitne khwab banata gaya jis shiddat se chaha tha use utani mannate ki main apne taraf ka pyar nibhata chala gaya phir aya ek din wo bhi jab ishq-e-izhhar hua jab mere dil ka dard ek khuli kitab hua laga diya unhone mujhe apne ashiqon ki line me mera izhhar to jaise ek majaak ho gaya o yaron sambhalo mujhko ke jeena mushkil ho gaya unke aise bartav se main gamgeen ho gaya nahi kar sakta jurrat tujhe bhul pane ki ki ab har saans me teri or sirf teri hi yad hai [Ashish Lahoti] May 27th,2011 :(
Comments