PaPa
Papa,kya likhun main aapke bare me jin hathon ne in pairon ko chalna sikhaya jinki chanv me khud ko badhta hua paya jinhe dekh dekh jindagi ka mayna samajh me aya khud ki khushiyon ko tak pe rakh humare liye wo jeete marte hain shayad humari ek khushi ki jhalak se hi wo apne sab dukh bhul jate hain wo is bhag daud ki naukari me hume waqt nahi de pate hain shayad wo bhi kanhi kuch palon ko churakar humare sath jindagi jeena chahte hain phir kyon maa ke pyar ke age unka pyar pheeka pad jata hai shayad unka pyar jatane ka tarika hai alag jo hume kabhi samajh nahi ata hain -Ashish Lahoti June 19th 2011 ( Father's Day )