DiL Ka DaRD ...
unhe dekha pahli bar to dekhta hi raha gaya
unke sath jindagi nibhane ke sapne sanjota gaya
unhe to khabar bhi na thi mere ishq-e-ikarar ki
main apni hi dhun me badhta chala gaya
waqt gujarata gaya rang pyar ka gaharata gaya
is intzar me na jane kitne khwab banata gaya
jis shiddat se chaha tha use utani mannate ki
main apne taraf ka pyar nibhata chala gaya
phir aya ek din wo bhi jab ishq-e-izhhar hua
jab mere dil ka dard ek khuli kitab hua
laga diya unhone mujhe apne ashiqon ki line me
mera izhhar to jaise ek majaak ho gaya
o yaron sambhalo mujhko ke jeena mushkil ho gaya
unke aise bartav se main gamgeen ho gaya
nahi kar sakta jurrat tujhe bhul pane ki
ki ab har saans me teri or sirf teri hi yad hai
[Ashish Lahoti]
May 27th,2011 :(
Comments