PaPa
Papa,kya likhun main aapke bare me
jin hathon ne in pairon ko chalna sikhaya
jinki chanv me khud ko badhta hua paya
jinhe dekh dekh jindagi ka mayna samajh me aya
khud ki khushiyon ko tak pe rakh
humare liye wo jeete marte hain
shayad humari ek khushi ki jhalak se hi
wo apne sab dukh bhul jate hain
wo is bhag daud ki naukari me
hume waqt nahi de pate hain
shayad wo bhi kanhi kuch palon ko churakar
humare sath jindagi jeena chahte hain
phir kyon maa ke pyar ke age
unka pyar pheeka pad jata hai
shayad unka pyar jatane ka tarika hai alag
jo hume kabhi samajh nahi ata hain
-Ashish Lahoti
June 19th 2011 ( Father's Day )
Comments